Un chhoti chhoti aankhon ne
Kabhi banayi thi ek tasveer
Jab main ho jaunga bada
Toh banaunga apni takdeer
Ab bhi kabhi kabhi
Yaad aata hain ho sapna
Woh masoom khayal
Aur woh nanha sa nazaara
Tab na duniyadaari ki samajh thi
Aur na thi paise ki koi keemat
Tab toh sirf ek masoomiyat thi
Aur ud ne ki ek chaahat
Aankhen toh raftaar se badhne lagi
Akal bhi dheere dheere aane lagi
Par is samajhdaari ki race mein
Who khoobsurat nazaara dhoondhlane lagi
Aaj bhi woh sapna
Kabhi kabhi mujhe aata hain
Par use dekh main muskurata nahi
Bas apne aap se mila pata main nazre nahi
Dukh sirf is baat ka nahi
Ki woh nazaara sach na hua
Gham toh is baat ka bhi hain
Ki woh sapna aaj bhi mujhe aata hain.
4 comments:
"Duniya ne yeh seekh dee hai humko,
Ki us nazaare mein koi haqeeqat nahi.
Paise ki chamkili taaqat ke aage,
Us nanhe nazaare ki koi aukaat nahi.
Aaj itni duur aa chuka hu main,
Ki apne sapne mujhe paraaye lagte hain.
Aaj itni duur aa chuka hu main,
Ki us nanhe nazaare ko bhula chuka hu main.
Aata hai jo kabhi kabhi us nazaare ka khayaal,
Toh khud se nazre churaata hu main.
Aata hai jo kabhi kabhi us nazaare ka khayaal,
Toh micheal ke adde pe paaya jaata hu main."
Well written bro.. Well written.. :)
The best post on this blog. Beautifully written.
beautiful! :)
Very well written, Nikunj! got me thinking this one... :)
Post a Comment